Sir mery abu ki death ho gai hy, hum 5 bhai hain or ik behan hy. 4 bhaiyo or behan ki shadi abu ny krwa di, ik baki hy. 3 bhaiyo ko abu ny 6 marly ka plot ly k eleda kr diya, baki 2 bhai abi abu k sath e thy k un k death ho gai, ab abu ki property mai ik 8 marly ka gar ik 6 marly ka gar or ik cror cash hy, ab sir btain k kya ye jaidad sb me divide hogi ya bs un 2 mai jo abi abu k sath thy, agr sb mai divide hogi to kis ratio sy…. plzzzz sir must reply.
1 Comment
Gull Hassan Khan
04/11/2018
Walid jo Jaidad choor k gaye han wo turka ha or is ma walida, sub behan bhai apne hissa k mutabik hissa dar han. Sub ko aone share k mutabik hissa mily ga, ager sub khandani taqseem per raazi ho jaen to court us ke mutabik bhi faisla kr sakti ha. Jaidad k liye apko civil court sa declration ke decree lana ho ge , jabke paison k liye aap succession certificate la sakty han, jis ma court sub ka hissa mukarar kr de gee.
Write a comment: