Salam sir Mera 6years ka beta hai aur Meri Divorce ko bi 6 years hogaye Hain custody ab Tak final nahi hui Karachi city court main mere x husband ki second wife hai aur us se bachay bi Hain . Court main hum ne compromise Kia Tha aur decide Kia tha k bachay ki weekly meeting hogi week main ek bar bacha subha Jaye ga sham ko wapis ajaye ga baap k Ghar se. Lakein ab masla yeh hai bachay ko baap k Ghar Mara jata hai step mother aur Baki sab ka behavior acha nahi Martay Hain bachay ko main ne court main lawyer k zariye application lagwai hai k meeting roki Jaye Lakein kuch bi nahi order pass huwa meeting rokne ka lawyer bas bolta rehta hai k date li hai samnay wali party aa nahi rahi response nahi de rahi. Kia ho sakta hai iss suitation main? Main ne meeting rokwani hai main chahti hon meeting ho month main ek bar court main sirf.
1 Comment
Gull Hassan Khan
28/01/2018
Meeting Rook Dain or ghar per mulaqat na kerwain, or court tma application file kaer dain k meeting ghar ma possible nahi ha, ager baap na mulaqat kerni ha to court ma meeting room ma mulaqat kare.
Write a comment: