salam meri shadi honay wali hay larki k father nay muj se aik stamp paper per sign liye aur phir os may gher munasib sharaet likhi hay ab larki k father wo stamp paper nahi dekha raha na oski copy day raha hay abhi nikah nahi howa ab may chahta hon k es stamp paper ko cancel kiya jae to kiya bawaqte nikah nikah nama may es stamp paper ko cancel tasawar likha jae ya koe aur tareeqa hay please guide karay.ta ka larki k father future may es stamp paper ka wrong use na kary kiya nikah nama may jo conditions likhi jaegi wo valid hongi ya jo conditions stamp paper may likhi hay wo valid hongi please guide karay
1 Comment
Gull Hassan Khan
13/02/2020
Jab Tak stamp paper ke contetns ka pata na ho iske k bare kase baat ke ja sakti ha………. behtar ha shahdi sa pahle us stamp paper ke copy lain ……… ya phr us babar Police ma report darj krwaen k aap sa blank stamp paper per signature liye han ……..baad ma bs pithtawa hota ha jiska koe faida nahi hota…….
Write a comment: